phir koi hai silsila ilzam ka
phir koī hai silsila ilzām kā
ye vatīra hai mire gulfām kā
roz kartā hai vo raushan shaam ko
ik diyā chhoTā sā mere naam kā
ḳhūb-sūrat dilrubā sī shā.irī
silsila hai ruuh tak ilhām kā
chāhatoñ kī bārisheñ kartā hai vo
ḳhuub vāqif hai vo apne kaam kā
dil meñ apne sochtī huuñ maiñ kabhī
vaqt aa.egā mire ārām kā
vo junūñ-ḳhezī to kab kī miT chukī
ab 'shagufta' vāsta hai naam kā
phir koi hai silsila ilzam ka
ye watira hai mere gulfam ka
roz karta hai wo raushan sham ko
ek diya chhoTa sa mere nam ka
KHub-surat dilruba si shairi
silsila hai ruh tak ilham ka
chahaton ki barishen karta hai wo
KHub waqif hai wo apne kaam ka
dil mein apne sochti hun main kabhi
waqt aaega mere aaram ka
wo junun-KHezi to kab ki miT chuki
ab 'shagufta' wasta hai nam ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.