phir koi KHalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai
phir koī ḳhalish nazd-e-rag-e-jāñ to nahīñ hai
phir dil meñ vahī nashtar-e-mizhgāñ to nahīñ hai
kyuuñ shaam se Duube se ho ummīd ke taaro
ābādī-e-dil-e-shahr-e-ḳhamoshāñ to nahīñ hai
kyuuñ hai dil-e-vahshat-zada bezār guloñ se
tā-hadd-e-nazar rāh-e-bayābāñ to nahīñ hai
kyuuñ uThne lage aaj qadam jānib-e-sahrā
phir josh-e-junūñ silsila-jumbāñ to nahīñ hai
ai dost rah-e-zīst bhī hai tīra-o-pur-ḳham
lekin ye tirī kākul-e-pechāñ to nahīñ hai
har choT kā hāsil haiñ bilakte hue aañsū
ye dard ye ġham qismat-e-insāñ to nahīñ hai
ai kaash koī mauj mujhe itnā batā de
sāhil pe bhī ye shorish-e-tūfāñ to nahīñ hai
har shai meñ tire husn kī zau dekh rahā huuñ
haañ mujh ko tirī zaat kā 'irfāñ to nahīñ hai
phūloñ kī tarah hañsne lage zaḳhm hazāroñ
dil bhī kahīñ majrūh-e-bahārāñ to nahīñ hai
lahrāne lage kyuuñ mirī palkoñ meñ hasīñ ḳhvāb
ye sāya-e-gesū-e-pareshāñ to nahīñ hai
ye rang ye ḳhushbū ye tabassum ye shu'ā'eñ
ye anjuman-e-zohra-jabīnāñ to nahīñ hai
ai dost maiñ jiitā huuñ tire ġham ke sahāre
aġhyār kā mujh par koī ehsāñ to nahīñ hai
yuuñ dil hai har ik ranj-o-alam kā mutahammil
lekin ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ to nahīñ hai
ye naaz ye andāz ye shoḳhī ye adā.eñ
ai dil ye kahīñ bazm-e-hasīnāñ to nahīñ hai
ye chaal ye āñkheñ ye nazar dekhnā 'muztar'
ye shoḳh vahī rashk-e-ġhazālāñ to nahīñ hai
phir koi KHalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai
phir dil mein wahi nashtar-e-mizhgan to nahin hai
kyun sham se Dube se ho ummid ke taro
aabaadi-e-dil-e-shahr-e-KHamoshan to nahin hai
kyun hai dil-e-wahshat-zada bezar gulon se
ta-hadd-e-nazar rah-e-bayaban to nahin hai
kyun uThne lage aaj qadam jaanib-e-sahra
phir josh-e-junun silsila-jumban to nahin hai
ai dost rah-e-zist bhi hai tira-o-pur-KHam
lekin ye teri kakul-e-pechan to nahin hai
har choT ka hasil hain bilakte hue aansu
ye dard ye gham qismat-e-insan to nahin hai
ai kash koi mauj mujhe itna bata de
sahil pe bhi ye shorish-e-tufan to nahin hai
har shai mein tere husn ki zau dekh raha hun
han mujh ko teri zat ka 'irfan to nahin hai
phulon ki tarah hansne lage zaKHm hazaron
dil bhi kahin majruh-e-bahaaran to nahin hai
lahrane lage kyun meri palkon mein hasin KHwab
ye saya-e-gesu-e-pareshan to nahin hai
ye rang ye KHushbu ye tabassum ye shu'a'en
ye anjuman-e-zohra-jabinan to nahin hai
ai dost main jita hun tere gham ke sahaare
aghyar ka mujh par koi ehsan to nahin hai
yun dil hai har ek ranj-o-alam ka mutahammil
lekin gham-e-dauran gham-e-jaanan to nahin hai
ye naz ye andaz ye shoKHi ye adaen
ai dil ye kahin bazm-e-hasinan to nahin hai
ye chaal ye aankhen ye nazar dekhna 'muztar'
ye shoKH wahi rashk-e-ghazalan to nahin hai
- Raqs-e-bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.