phir kuchh na banega jab mere ashkon mein lahu mil jaega
phir kuchh na banega jab mere ashkon mein lahu mil jaega
Shadan Indauri
MORE BYShadan Indauri
phir kuchh na banegā jab mere ashkoñ meñ lahū mil jā.egā
tum laakh sitamgar ho lekin dekhoge to dil hil jā.egā
go fikr-o-nazar kī rāhoñ par biThlā diye pahre duniyā ne
āzād haiñ ulfat kī rāheñ dil aa.egā dil jā.egā
chalte haiñ magar ai rāh-numā ik shart hamārī yaad rahe
ham pahuñcheñge pahle manzil par phir jāda-e-manzil jā.egā
ai sūd-o-ziyāñ ke matvāle arbāb-e-vafā ke saath na chal
ye tūfāñ tūfāñ guzreñge tū sāhil sāhil jā.egā
gar sabr na aaya taḌpūñgā fariyād karūñgā ro lūñgā
dil toḌne vaale ye to batā āḳhir tujhe kyā mil jā.egā
dīvāna sharīk-e-mahfil hai lekin ye ayaañ hai nazroñ se
begāna-e-mahfil aaya thā begāna-e-mahfil jā.egā
phir kuchh na banega jab mere ashkon mein lahu mil jaega
tum lakh sitamgar ho lekin dekhoge to dil hil jaega
go fikr-o-nazar ki rahon par biThla diye pahre duniya ne
aazad hain ulfat ki rahen dil aaega dil jaega
chalte hain magar ai rah-numa ek shart hamari yaad rahe
hum pahunchenge pahle manzil par phir jada-e-manzil jaega
ai sud-o-ziyan ke matwale arbab-e-wafa ke sath na chal
ye tufan tufan guzrenge tu sahil sahil jaega
gar sabr na aaya taDpunga fariyaad karunga ro lunga
dil toDne wale ye to bata aaKHir tujhe kya mil jaega
diwana sharik-e-mahfil hai lekin ye ayan hai nazron se
begana-e-mahfil aaya tha begana-e-mahfil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.