phir lauT ke dharti pe bhi aane nahin deta
phir lauT ke dhartī pe bhī aane nahīñ detā
vo paañv ḳhalā meñ bhī jamāne nahīñ detā
ḳhush rahtā hai ujḌe hue logoñ se hamesha
basne nahīñ detā vo basāne nahīñ detā
manzūr nahīñ lamhoñ kī pahchān bhī us ko
aur naam daraḳhtoñ se miTāne nahīñ detā
detā hai masāfat bhī muhīb andhe kuoñ kī
yuuñ to vo kisī ko bhī ḳhazāne nahīñ detā
kahtā hai ki baaqī bhī rahe yaad safar kī
sauġhāt koī saath bhī laane nahīñ detā
basne bhī nahīñ detā mujhe apne nagar meñ
sahrā bhī magar mujh ko basāne nahīñ detā
maujoñ ke mujhe raaz bhī samjhātā nahīñ vo
sāhil pe safīna bhī lagāne nahīñ detā
de detā hai har baar vahī naav purānī
ḳhvāboñ ko samundar meñ bahāne nahīñ detā
patthar bhī mujhe hone nahīñ detā vo lekin
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb sajāne nahīñ detā
phir lauT ke dharti pe bhi aane nahin deta
wo panw KHala mein bhi jamane nahin deta
KHush rahta hai ujDe hue logon se hamesha
basne nahin deta wo basane nahin deta
manzur nahin lamhon ki pahchan bhi us ko
aur nam daraKHton se miTane nahin deta
deta hai masafat bhi muhib andhe kuon ki
yun to wo kisi ko bhi KHazane nahin deta
kahta hai ki baqi bhi rahe yaad safar ki
saughat koi sath bhi lane nahin deta
basne bhi nahin deta mujhe apne nagar mein
sahra bhi magar mujh ko basane nahin deta
maujon ke mujhe raaz bhi samjhata nahin wo
sahil pe safina bhi lagane nahin deta
de deta hai har bar wahi naw purani
KHwabon ko samundar mein bahane nahin deta
patthar bhi mujhe hone nahin deta wo lekin
aankhon mein koi KHwab sajaane nahin deta
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 618)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.