phir mujhko KHurshid-e-tamanna wala mausam de dena
phir mujh ko ḳhurshīd-e-tamannā vaalā mausam de denā
zaḳhm agar denā to apnī yaad kā marham de denā
dil kā aalam to sadiyoñ se ḳhushk jazīre jaisā hai
is sūkhī dhartī ko apne pyaar kā zamzam de denā
bāġh-e-tamannā kā har ġhuncha aas lagā.e baiThā hai
murjhāne se pahle in phūloñ ko shabnam de denā
ummīd-o-nā-ummīdī se ranj-o-ḳhushī se bālā-tar
ab jo agar denā to mujhe tum aisā aalam de denā
apnī kalā se pahle ugānā raag koī albelā sā
phir mere fan kī lahrātī us ko sargam de denā
khā jā.egā rafta rafta merā akelā-pan mujh ko
pahle soch samajh lenā phir apnā mātam de denā
phir mujh ko KHurshid-e-tamanna wala mausam de dena
zaKHm agar dena to apni yaad ka marham de dena
dil ka aalam to sadiyon se KHushk jazire jaisa hai
is sukhi dharti ko apne pyar ka zamzam de dena
bagh-e-tamanna ka har ghuncha aas lagae baiTha hai
murjhane se pahle in phulon ko shabnam de dena
ummid-o-na-ummidi se ranj-o-KHushi se baala-tar
ab jo agar dena to mujhe tum aisa aalam de dena
apni kala se pahle ugana rag koi albela sa
phir mere fan ki lahraati us ko sargam de dena
kha jaega rafta rafta mera akela-pan mujh ko
pahle soch samajh lena phir apna matam de dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.