Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir mujhe jine ki dua di hai

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

phir mujhe jine ki dua di hai

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

MORE BYGorbachan Singh Dayal Maghmum

    phir mujhe jiine duā hai

    ya.anī phir ik hasīñ sazā hai

    zulm sah kar bhī ham ne zālim ke

    haath chūme haiñ aur duā hai

    kyuuñ gila ho ki ham ko qudrat ne

    ye kisī jurm sazā hai

    shukriya ne ek Thokar se

    rūh-e-ḳhvābīda ik jagā hai

    husn ko kyā ḳhabar ki ḳhud us ne

    sho.ala-e-ishq ko havā hai

    mausam-e-gul ne aa ke gulshan meñ

    jaane kyā aag lagā hai

    ham ne dāġhoñ ke nuur se 'maġhmūm'

    raunaq-e-bazm-e-dil baḌhā hai

    phir mujhe jine ki dua di hai

    yani phir ek hasin saza di hai

    zulm sah kar bhi hum ne zalim ke

    hath chume hain aur dua di hai

    kyun gila ho ki hum ko qudrat ne

    ye kisi jurm ki saza di hai

    shukriya tu ne ek Thokar se

    ruh-e-KHwabida ek jaga di hai

    husn ko kya KHabar ki KHud us ne

    shoala-e-ishq ko hawa di hai

    mausam-e-gul ne aa ke gulshan mein

    jaane kya aag si laga di hai

    hum ne daghon ke nur se 'maghmum'

    raunaq-e-bazm-e-dil baDha di hai

    Source :
    • Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 255)
    • Publication : Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now