phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
phir mujhe kaun-o-makāñ dasht-o-bayābāñ se lage
ḳhud ko dekhā hai to ā.īne pareshāñ se lage
vaqt kaTtā rahā thā ahd-e-huzūrī ki firāq
zaḳhm lagte rahe chāhe kisī unvāñ se lage
zindagī mere izāfe mujhe vāpas kar de
jhaaḌ de ḳhaar jo nāhaq tire dāmāñ se lage
kuchh to thī sādgī kuchh be-ḳhabarī be-hunarī
kuchh hameñ ishq ke hañgāme bhī āsāñ se lage
ziist ham haar ke bhī haath milā.eñ tujh se
apne ye hausle kitne tujhe arzāñ se lage
phir mujhe kaun-o-makan dasht-o-bayaban se lage
KHud ko dekha hai to aaine pareshan se lage
waqt kaTta raha tha ahd-e-huzuri ki firaq
zaKHm lagte rahe chahe kisi unwan se lage
zindagi mere izafe mujhe wapas kar de
jhaD de KHar jo nahaq tere daman se lage
kuchh to thi sadgi kuchh be-KHabari be-hunari
kuchh hamein ishq ke hangame bhi aasan se lage
zist hum haar ke bhi hath milaen tujh se
apne ye hausle kitne tujhe arzan se lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.