phir mujhe qismat tumhaare shahr mein lane ko hai
phir mujhe qismat tumhāre shahr meñ laane ko hai
phir tumhāre shahr meñ nūr-e-sahar chhāne ko hai
ai ḳhudā-e-zulm-o-jabr-o-barbariyyat hoshiyār
āsmāñ ke us taraf merī fuġhāñ jaane ko hai
aap kī furqat meñ rote haiñ dar-o-dīvār maañ
aap se bichhḌe haiñ jab se ghar hameñ khāne ko hai
ik faqat dīdār kī ḳhātir kiyā marnā qubūl
sham' se kaisī mohabbat haa.e parvāne ko hai
mausam-e-bārāñ meñ rone kī suhūlat ho ga.ī
is liye āñkhoñ se dariyā aaj bah jaane ko hai
phir koī maa.il huā sahrā-navardī kī taraf
phir kisī lailā se yā'nī 'ishq dīvāne ko hai
pūchhtī ho bārhā kyoñ ashk kyoñ haiñ ġham hai kyoñ
ashk piine ke liye haiñ ġham 'sahar' khāne ko hai
phir mujhe qismat tumhaare shahr mein lane ko hai
phir tumhaare shahr mein nur-e-sahar chhane ko hai
ai KHuda-e-zulm-o-jabr-o-barbariyyat hoshiyar
aasman ke us taraf meri fughan jaane ko hai
aap ki furqat mein rote hain dar-o-diwar man
aap se bichhDe hain jab se ghar hamein khane ko hai
ek faqat didar ki KHatir kiya marna qubul
sham' se kaisi mohabbat hae parwane ko hai
mausam-e-baran mein rone ki suhulat ho gai
is liye aankhon se dariya aaj bah jaane ko hai
phir koi mail hua sahra-nawardi ki taraf
phir kisi laila se ya'ni 'ishq diwane ko hai
puchhti ho barha kyon ashk kyon hain gham hai kyon
ashk pine ke liye hain gham 'sahar' khane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.