phir na kuchh baqi nishan mera rahe
phir na kuchh baaqī nishāñ merā rahe
kuchh rahe to bas bayāñ merā rahe
jo jigar se uTh rahā hai dam ba dam
baa'd mere vo dhuāñ merā rahe
koī chārasāz koī ġham-gusār
bas ki aisā rāz-dāñ merā rahe
maiñ jiyūñ jitnā jiyūñ sab ke liye
zindagī kā yuuñ ziyāñ merā rahe
ābiyārī maiñ lahū se kar rahā
bin ḳhizāñ ke gulsitāñ merā rahe
tum sivā.e maañ ke ghar ke le lo sab
bas vo TuuTā sā makāñ merā rahe
ye bhī mumkin ho sake 'hasrat' bhalā
tāroñ ke bin āsmāñ merā rahe
phir na kuchh baqi nishan mera rahe
kuchh rahe to bas bayan mera rahe
jo jigar se uTh raha hai dam ba dam
ba'd mere wo dhuan mera rahe
koi chaarasaz koi gham-gusar
bas ki aisa raaz-dan mera rahe
main jiyun jitna jiyun sab ke liye
zindagi ka yun ziyan mera rahe
aabiyari main lahu se kar raha
bin KHizan ke gulsitan mera rahe
tum siwae man ke ghar ke le lo sab
bas wo TuTa sa makan mera rahe
ye bhi mumkin ho sake 'hasrat' bhala
taron ke bin aasman mera rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.