Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir na mangunga kabhi jam Thahar ja saqi

Manik Vishwakarma Navrang

phir na mangunga kabhi jam Thahar ja saqi

Manik Vishwakarma Navrang

MORE BYManik Vishwakarma Navrang

    phir na māñgūñgā kabhī jaam Thahar saaqī

    'umr likh dūñgā tire naam Thahar saaqī

    sirf piine ke liye aatā nahīñ huuñ dar pe

    aaj karnā hai bahut kaam Thahar saaqī

    ham ko milne nahīñ deñge ye zamāne vaale

    be-sabab karte haiñ badnām Thahar saaqī

    log socheñge koī aayā hai maiḳhāne meñ

    yaad rah jā.egī ye shaam Thahar saaqī

    vaqt mushkil se milā hai to mujhe karne de

    do-ghaḌī ke liye ārām Thahar saaqī

    ne āġhāz kiyā hai to pilā bhar ke

    dekhne de mujhe anjām Thahar saaqī

    shauq ke vāste piinā bhī koī piinā hai

    chhoḌ jā.eñge ye paiġhām Thahar saaqī

    ḳhaas logoñ meñ sabhī ginte haiñ mujh ko 'naurang'

    ho na jā.ūñ kahīñ maiñ 'aam Thahar saaqī

    phir na mangunga kabhi jam Thahar ja saqi

    'umr likh dunga tere nam Thahar ja saqi

    sirf pine ke liye aata nahin hun dar pe

    aaj karna hai bahut kaam Thahar ja saqi

    hum ko milne nahin denge ye zamane wale

    be-sabab karte hain badnam Thahar ja saqi

    log sochenge koi aaya hai maiKHane mein

    yaad rah jaegi ye sham Thahar ja saqi

    waqt mushkil se mila hai to mujhe karne de

    do-ghaDi ke liye aaram Thahar ja saqi

    tu ne aaghaz kiya hai to pila ji bhar ke

    dekhne de mujhe anjam Thahar ja saqi

    shauq ke waste pina bhi koi pina hai

    chhoD jaenge ye paigham Thahar ja saqi

    KHas logon mein sabhi ginte hain mujh ko 'naurang'

    ho na jaun kahin main 'am Thahar ja saqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now