phir na milne ka agar imkan hona chahiye
phir na milne kā agar imkān honā chāhiye
zabt-e-ġham bhī ai ḳhudā āsān honā chāhiye
jis meñ chāhat qaid ho aur nafratoñ kā raaj ho
ai ḳhudā us shahr ko vīrān honā chāhiye
jo bichhaḌ kar tujh se tanhā.ī meñ guzre the kabhī
aise lamhoñ kā alag 'unvān honā chāhiye
jo kahe ham sab barābar haiñ ḳhudā ke des meñ
us kī ḳhātir daar kā farmān honā chāhiye
yā to phir se jangaloñ kā daur aa jaa.e 'riyāz'
varna phir insān ko insān honā chāhiye
phir na milne ka agar imkan hona chahiye
zabt-e-gham bhi ai KHuda aasan hona chahiye
jis mein chahat qaid ho aur nafraton ka raj ho
ai KHuda us shahr ko viran hona chahiye
jo bichhaD kar tujh se tanhai mein guzre the kabhi
aise lamhon ka alag 'unwan hona chahiye
jo kahe hum sab barabar hain KHuda ke des mein
us ki KHatir dar ka farman hona chahiye
ya to phir se jangalon ka daur aa jae 'riyaz'
warna phir insan ko insan hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.