phir nazar Takra rahi hai kya karun
phir nazar Takrā rahī hai kyā karūñ
bazm-e-dil tharrā rahī hai kyā karūñ
vo na aa.e haiñ na ā.eñge kabhī
aarzū bahlā rahī hai kyā karūñ
yaas kī badlī dil-e-nākām par
dard ban kar chhā rahī hai kyā karūñ
yaad un kī dil meñ phir aane ko hai
ik qayāmat aa rahī hai kyā karūñ
dard paiham aur ashk-e-ḳhūñ-chakāñ
rang ulfat lā rahī hai kyā karūñ
phir mirī duniyā-e-dil par ai nadīm
ġham kī badlī chhā rahī hai kyā karūñ
zindagī kī kaifiyat 'mohsin' na pūchh
yaas dil ko khā rahī hai kyā karūñ
phir nazar Takra rahi hai kya karun
bazm-e-dil tharra rahi hai kya karun
wo na aae hain na aaenge kabhi
aarzu bahla rahi hai kya karun
yas ki badli dil-e-nakaam par
dard ban kar chha rahi hai kya karun
yaad un ki dil mein phir aane ko hai
ek qayamat aa rahi hai kya karun
dard paiham aur ashk-e-KHun-chakan
rang ulfat la rahi hai kya karun
phir meri duniya-e-dil par ai nadim
gham ki badli chha rahi hai kya karun
zindagi ki kaifiyat 'mohsin' na puchh
yas dil ko kha rahi hai kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.