phir nuqush-e-ma-siwa ka dil mein tufan dekh kar
phir nuqush-e-ma-siwa ka dil mein tufan dekh kar
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
phir nuqūsh-e-mā-sivā kā dil meñ tūfāñ dekh kar
un ko aanā hī paḌā mujh ko pareshāñ dekh kar
dekh kar ik baar un ko band āñkheñ ho ga.iiñ
dekhtā bhī kyā jamāl-e-rū-e-tābāñ dekh kar
jis tarah dariyā meñ hotā hai sukūñ tūfāñ ke baa'd
aa ga.ī hai niiñd ik ḳhvāb-e-pareshāñ dekh kar
justujū meñ jis kī chhā.e the zamīn-o-āsmāñ
mahv-e-hairat huuñ use nazd-e-rag-e-jāñ dekh kar
maiñ to aaya thā yahāñ tauqīr-e-insāñ dekhne
haT gayā duniyā se dil insāñ ko arzāñ dekh kar
ab to shāyad aa hī jā.egā mire dil ko qarār
mutma.in huuñ phir kisī ko mahv-e-darmāñ dekh kar
māñgne ko maiñ to māñgūñgā zamīn-o-āsmāñ
aap mujh ko dījiyegā merā dāmāñ dekh kar
ab to tum tartīb de sakte ho afsāna mirā
thak gayā huuñ maiñ to aurāq-e-pareshāñ dekh kar
ham 'shifā' ārāsta karte rahe dair-o-haram
vo hue mehmān dil meñ dil ko vīrāñ dekh kar
phir nuqush-e-ma-siwa ka dil mein tufan dekh kar
un ko aana hi paDa mujh ko pareshan dekh kar
dekh kar ek bar un ko band aankhen ho gain
dekhta bhi kya jamal-e-ru-e-taban dekh kar
jis tarah dariya mein hota hai sukun tufan ke ba'd
aa gai hai nind ek KHwab-e-pareshan dekh kar
justuju mein jis ki chhae the zamin-o-asman
mahw-e-hairat hun use nazd-e-rag-e-jaan dekh kar
main to aaya tha yahan tauqir-e-insan dekhne
haT gaya duniya se dil insan ko arzan dekh kar
ab to shayad aa hi jaega mere dil ko qarar
mutmain hun phir kisi ko mahw-e-darman dekh kar
mangne ko main to mangunga zamin-o-asman
aap mujh ko dijiyega mera daman dekh kar
ab to tum tartib de sakte ho afsana mera
thak gaya hun main to auraq-e-pareshan dekh kar
hum 'shifa' aarasta karte rahe dair-o-haram
wo hue mehman dil mein dil ko viran dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.