phir pasina jabin se nikla
phir pasīna jabīn se niklā
saañp jab āstīn se niklā
laḌte laḌte hī mar ga.e saare
jab ḳhazāna zamīn se niklā
silsila apnī ḳhush-numā.ī kā
aap se ik hasīn se niklā
mujh ko hairat nahīñ huī kuchh bhī
dost jab hāsidīn se niklā
dhund phir chhaT ga.ī manāzir se
ḳhauf jab nāzirīn se niklā
log shak kar rahe the ġhairoñ par
ghar kā qissa makīn se niklā
manzileñ paas aa ga.iiñ chal kar
jab musāfir yaqīn se niklā
lafz-e-shohrat kā asl mā'nī to
ek gosha-nashīn se niklā
raaz donoñ ke thā jo sīnoñ meñ
aaj kaise vo tiin se niklā
phir pasina jabin se nikla
sanp jab aastin se nikla
laDte laDte hi mar gae sare
jab KHazana zamin se nikla
silsila apni KHush-numai ka
aap se ek hasin se nikla
mujh ko hairat nahin hui kuchh bhi
dost jab hasidin se nikla
dhund phir chhaT gai manazir se
KHauf jab nazirin se nikla
log shak kar rahe the ghairon par
ghar ka qissa makin se nikla
manzilen pas aa gain chal kar
jab musafir yaqin se nikla
lafz-e-shohrat ka asl ma'ni to
ek gosha-nashin se nikla
raaz donon ke tha jo sinon mein
aaj kaise wo tin se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.