phir rahi thi gali gali aawaz
phir rahī thī galī galī āvāz
kyā huī kis taraf ga.ī āvāz
merā shahr-e-sukūñ laraz uTThā
jaane kaisī thī vo na.ī āvāz
ḳhushbūoñ sī adā adā us kī
raushnī sī bikhertī āvāz
dil muḳhātab huā hai us kī taraf
mujh ko shāyad kisī ne dī āvāz
us ke ruḳhsār jaise sho.ala-e-gul
shahd kānoñ meñ gholtī āvāz
ek muddat ke baad zindāñ meñ
jaane kis kī ye guuñj uThī āvāz
tere qadmoñ kī chaap sun ke lagā
is se achchhī nahīñ koī āvāz
tere alfāz haiñ shanāḳht tirī
terī pahchān hai tirī āvāz
mere andar se boltā hai tū
mere hoñToñ pe hai tirī āvāz
dasht-e-ehsās meñ abhī abhī 'nūr'
aa.ī hai mujh ko DhūñDtī āvāz
phir rahi thi gali gali aawaz
kya hui kis taraf gai aawaz
mera shahr-e-sukun laraz uTTha
jaane kaisi thi wo nai aawaz
KHushbuon si ada ada us ki
raushni si bikherti aawaz
dil muKHatab hua hai us ki taraf
mujh ko shayad kisi ne di aawaz
us ke ruKHsar jaise shoala-e-gul
shahd kanon mein gholti aawaz
ek muddat ke baad zindan mein
jaane kis ki ye gunj uThi aawaz
tere qadmon ki chap sun ke laga
is se achchhi nahin koi aawaz
tere alfaz hain shanaKHt teri
teri pahchan hai teri aawaz
mere andar se bolta hai tu
mere honTon pe hai teri aawaz
dasht-e-ehsas mein abhi abhi 'nur'
aai hai mujh ko DhunDti aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.