phir saba guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kya kahna
phir sabā guzrī hai dar-e-sehn-e-chaman kyā kahnā
ab talak kāñpte haiñ sarv-o-saman kyā kahnā
zarra-e-ḳhāk huuñ maiñ sail-e-havādis ke liye
aur is zarre meñ dil shāh-e-zaman kyā kahnā
jism ke hukm se āzād ho jaañ chāhā thā
ruuh ke hukm se āzād hai tan kyā kahnā
shahr vīrān huā gor-e-ġharībāñ kī tarah
us pe maiñ aur mirī rañgīnī-e-fan kyā kahnā
hai garāñ tab-e-shahīdāñ pe mazār-o-marqad
jism ḳhūñ-basta hai ḳhud un kā kafan kyā kahnā
lek ye bhī to khule kuchh tirī niyyat kyā hai
nudrat-e-fikr aur andāz-e-suḳhan kyā kahnā
āḳhirash sahl huā naf-o-zarar kā matlab
ab har ik chiiz pe chaspāñ hai saman kyā kahnā
ziist ik pal hai faqat dekhiye kyā kījiye kyā
aur is pal meñ bhī sad ranj-o-mehan kyā kahnā
is qadar ḳhauf meñ huuñ maiñ ki na niiñd aave hai
kis qadar ḳhvāb meñ haiñ ahl-e-vatan kyā kahnā
phir saba guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kya kahna
ab talak kanpte hain sarw-o-saman kya kahna
zarra-e-KHak hun main sail-e-hawadis ke liye
aur is zarre mein dil shah-e-zaman kya kahna
jism ke hukm se aazad ho jaan chaha tha
ruh ke hukm se aazad hai tan kya kahna
shahr viran hua gor-e-ghariban ki tarah
us pe main aur meri rangini-e-fan kya kahna
hai garan tab-e-shahidan pe mazar-o-marqad
jism KHun-basta hai KHud un ka kafan kya kahna
lek ye bhi to khule kuchh teri niyyat kya hai
nudrat-e-fikr aur andaz-e-suKHan kya kahna
aaKHirash sahl hua naf-o-zarar ka matlab
ab har ek chiz pe chaspan hai saman kya kahna
zist ek pal hai faqat dekhiye kya kijiye kya
aur is pal mein bhi sad ranj-o-mehan kya kahna
is qadar KHauf mein hun main ki na nind aawe hai
kis qadar KHwab mein hain ahl-e-watan kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.