phir sada-e-mohabbat suni hai abhi
phir sadā-e-mohabbat sunī hai abhī
zaḳhm-e-nau kī sa.ādat milī hai abhī
rābta dil kā dil se hai kaafī mujhe
nuur hī nuur meñ zindagī hai abhī
vaqt badlā hai ham tum to badle nahīñ
vo hī chāhat vahī bebasī hai abhī
ye jabīñ aur kisī dar pe jhuktī hī kyuuñ
us meñ terī mohabbat juḌī hai abhī
kuchh tamannā se baḌh kar bhī paayā magar
aarzū ek sab se baḌī hai abhī
aaj bhī zindagānī meñ jān-e-'safī'
aur sab kuchh hai terī kamī hai abhī
phir sada-e-mohabbat suni hai abhi
zaKHm-e-nau ki saadat mili hai abhi
rabta dil ka dil se hai kafi mujhe
nur hi nur mein zindagi hai abhi
waqt badla hai hum tum to badle nahin
wo hi chahat wahi bebasi hai abhi
ye jabin aur kisi dar pe jhukti hi kyun
us mein teri mohabbat juDi hai abhi
kuchh tamanna se baDh kar bhi paya magar
aarzu ek sab se baDi hai abhi
aaj bhi zindagani mein jaan-e-'safi'
aur sab kuchh hai teri kami hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.