phir samaat ko bhi bhata hai rythm tartib se
phir samā.at ko bhī bhātā hai rythm tartīb se
ho agar us meñ tire lahje kā dam tartīb se
tujh se milte hī yuuñ khil jaate haiñ ham tartīb se
juuñ ho patjhaḌ meñ bahāroñ kā janam tartīb se
ek ik kar ke kareñge pesh sab farmā.isheñ
ya.anī Dhaa.e jā.eñge tum par sitam tartīb se
ho dil-e-muflis meñ ḳhūbāñ ko sukūñ kaise ki hai
lā-muhāla dhaḌkanoñ kā zer-o-bam tartīb se
yaar be-Dhanga chalan achchhā nahīñ hai ziist meñ
ham usūlī haiñ uThā.eñge qadam tartīb se
maut bar-haq to hai lekin ik qarīne kī tarah
ḳhud ko maiñ le kar gayā sū-e-adam tartīb se
juice chaa.e nāshta phir karte haiñ kuchh dauḌ-dhūp
jab amīrī ho to bhartā hai shikam tartīb se
rāste hamvār hote hī nahīñ mere liye
Thokareñ khā ke banā huuñ maiñ taham tartīb se
ahd-e-furqat chand aañsū aur hichkī maut kī
vaqt-e-ruḳhsat hai so nikle hai nasam tartīb se
zindagī meñ sirf bachpan ko muyassar hai sukūñ
phir javānī aur za.īfī haiñ alam tartīb se
chaar unsur yuuñ to haiñ taḳhlīq-e-insāñ meñ magar
pāñchvāñ dukh mujh meñ shāmil hai baham tartīb se
sab kī suntā thā kabhī rūdād 'alvī' shauq se
jhuuT sun sun ke banā hai ye asam tartīb se
phir samaat ko bhi bhata hai rythm tartib se
ho agar us mein tere lahje ka dam tartib se
tujh se milte hi yun khil jate hain hum tartib se
jun ho patjhaD mein bahaaron ka janam tartib se
ek ek kar ke karenge pesh sab farmaishen
yani Dhae jaenge tum par sitam tartib se
ho dil-e-muflis mein KHuban ko sukun kaise ki hai
la-muhaala dhaDkanon ka zer-o-bam tartib se
yar be-Dhanga chalan achchha nahin hai zist mein
hum usuli hain uThaenge qadam tartib se
maut bar-haq to hai lekin ek qarine ki tarah
KHud ko main le kar gaya su-e-adam tartib se
juice chae nashta phir karte hain kuchh dauD-dhup
jab amiri ho to bharta hai shikam tartib se
raste hamwar hote hi nahin mere liye
Thokaren kha ke bana hun main taham tartib se
ahd-e-furqat chand aansu aur hichki maut ki
waqt-e-ruKHsat hai so nikle hai nasam tartib se
zindagi mein sirf bachpan ko muyassar hai sukun
phir jawani aur zaifi hain alam tartib se
chaar unsur yun to hain taKHliq-e-insan mein magar
panchwan dukh mujh mein shamil hai baham tartib se
sab ki sunta tha kabhi rudad 'alwi' shauq se
jhuT sun sun ke bana hai ye asam tartib se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.