phir sar pe sham aa gai main raste mein hun
phir sar pe sham aa gai main raste mein hun
Shahnaz Parveen Sahar
MORE BYShahnaz Parveen Sahar
phir sar pe shaam aa ga.ī maiñ rāste meñ huuñ
ik ajnabī saḌak hai kisī hādse meñ huuñ
ik gard-bād hai mujhe hadd-e-nigāh tak
tanhā nahīñ huuñ dhūl-bhare qāfile meñ huuñ
tanhā.iyoñ ne phir tirā chehra pahan liyā
tere baġhair bhī maiñ tire dā.ere meñ huuñ
tū ne to mujh ko aks-e-muqayyad samajh liyā
thoḌī sī der aur tire aa.ine meñ huuñ
merā bhī zikr thā tire dil kī kitāb meñ
qirtās par nahīñ huuñ magar hāshiye meñ huuñ
sau saal mujh pe biite haiñ sūraj bujhe hue
sau saal jaisī raat se maiñ ratjage meñ huuñ
patthar kī mūrtī meñ hai sadiyoñ kā intizār
maiñ bhī asīr-e-jism huuñ aur faisle meñ huuñ
phir be-gharī kā ḳhauf havāoñ meñ ghul gayā
saat āsmān tere haiñ maiñ ghoñsle meñ huuñ
phir sar pe sham aa gai main raste mein hun
ek ajnabi saDak hai kisi hadse mein hun
ek gard-baad hai mujhe hadd-e-nigah tak
tanha nahin hun dhul-bhare qafile mein hun
tanhaiyon ne phir tera chehra pahan liya
tere baghair bhi main tere daere mein hun
tu ne to mujh ko aks-e-muqayyad samajh liya
thoDi si der aur tere aaine mein hun
mera bhi zikr tha tere dil ki kitab mein
qirtas par nahin hun magar hashiye mein hun
sau sal mujh pe bite hain suraj bujhe hue
sau sal jaisi raat se main ratjage mein hun
patthar ki murti mein hai sadiyon ka intizar
main bhi asir-e-jism hun aur faisle mein hun
phir be-ghari ka KHauf hawaon mein ghul gaya
sat aasman tere hain main ghonsle mein hun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.