phir se hasin waqt ki basti mein aa gae
phir se hasīn vaqt kī bastī meñ aa ga.e
mere tamām she'r jo surḳhī meñ aa ga.e
taqdīr sūkhe pattoñ kī bhī kyā hai dosto
thoḌe se charmarā.e ki muTThī meñ aa ga.e
ojhal hue nigāh se duniyā ke ranj-o-ġham
miTTī se ham bane the to miTTī meñ aa ga.e
guchchhe tumhārī yaad ke pahlū se TuuT kar
mahke hue gulāb kī Tahnī meñ aa ga.e
kaaTe ga.e haiñ peḌ yuuñ itne ki āj-kal
jangal ke saare jiiv bhī bastī meñ aa ga.e
phir se hasin waqt ki basti mein aa gae
mere tamam she'r jo surKHi mein aa gae
taqdir sukhe patton ki bhi kya hai dosto
thoDe se charmarae ki muTThi mein aa gae
ojhal hue nigah se duniya ke ranj-o-gham
miTTi se hum bane the to miTTi mein aa gae
guchchhe tumhaari yaad ke pahlu se TuT kar
mahke hue gulab ki Tahni mein aa gae
kaTe gae hain peD yun itne ki aaj-kal
jangal ke sare jiw bhi basti mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.