phir se kahna kya samjhe ho
phir se kahnā kyā samjhe ho
tum mujh ko aisā samjhe ho
tum se pahle bhī yaañ tum the
tum ḳhud ko pahlā samjhe ho
tum to azal se saath ho mere
kyoñ ḳhud ko tanhā samjhe ho
ye koī achchhī baat nahīñ hai
tum jis ko achchhā samjhe ho
ḳhvāb meñ kyoñ aate ho mere
kyā mujh ko andhā samjhe ho
dar par pahre-dār biThā kar
darvāze ko vā samjhe ho
yā'nī maiñ jitnā samjhā thā
tum bhī bas utnā samjhe ho
merī jaan yahī lamha hai
tum jis ko lamha samjhe ho
phir se kahna kya samjhe ho
tum mujh ko aisa samjhe ho
tum se pahle bhi yan tum the
tum KHud ko pahla samjhe ho
tum to azal se sath ho mere
kyon KHud ko tanha samjhe ho
ye koi achchhi baat nahin hai
tum jis ko achchha samjhe ho
KHwab mein kyon aate ho mere
kya mujh ko andha samjhe ho
dar par pahre-dar biTha kar
darwaze ko wa samjhe ho
ya'ni main jitna samjha tha
tum bhi bas utna samjhe ho
meri jaan yahi lamha hai
tum jis ko lamha samjhe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.