phir se mausam ke badalne lage tewar maula
phir se mausam ke badalne lage tevar maulā
us ke shar se rahe mahfūz mirā ghar maulā
log kahte haiñ siyah raat ko roz-e-raushan
kaise kar luuñ maiñ ġhalat baat ye bāvar maulā
merī har shāḳh se phūloñ kī huī hai bārish
phir bhī pheñke haiñ mirī zaat pe patthar maulā
muflisī dī hai mujhe terā karam hai lekin
log hañste haiñ mire haal pe aksar maulā
sar-bulandī mirī us vaqt bhī qaa.em hī rahī
teġh par jab vo uThā laa.e mirā sar maulā
tishna-kāmī mire hoñToñ kā muqaddar to nahīñ
bhej de un ke liye ab to samundar maulā
tere 'irfān' ko duniyā na kahe farsūda
pā-ba-zanjīr-e-rivāyat hai ye shā.ir maulā
phir se mausam ke badalne lage tewar maula
us ke shar se rahe mahfuz mera ghar maula
log kahte hain siyah raat ko roz-e-raushan
kaise kar lun main ghalat baat ye bawar maula
meri har shaKH se phulon ki hui hai barish
phir bhi phenke hain meri zat pe patthar maula
muflisi di hai mujhe tera karam hai lekin
log hanste hain mere haal pe aksar maula
sar-bulandi meri us waqt bhi qaem hi rahi
tegh par jab wo uTha lae mera sar maula
tishna-kaami mere honTon ka muqaddar to nahin
bhej de un ke liye ab to samundar maula
tere 'irfan' ko duniya na kahe farsuda
pa-ba-zanjir-e-riwayat hai ye shair maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.