phir se mumkin ho to rishton ko sanwara jae
phir se mumkin ho to rishtoñ ko sañvārā jaa.e
'ishq ko dil se kabhī yuuñ na utārā jaa.e
saḳhtiyoñ se ye baġhāvat pe utar aate haiñ
narm lahje se hī bachchoñ ko sudhārā jaa.e
'ishq kā khel agar khel rahe ho dil se
jiit jaane ke liye phir ise haarā jaa.e
jis se hāsil kareñ 'ibrat ye zamāne vaale
is tarah kā bhī koī vaqt guzārā jaa.e
husn-o-kirdār kī ḳhushbū se mo'attar ho kar
mulk aur qaum ko mil-jul ke sañvārā jaa.e
'yāsmīñ' sab kī hī suntā hai mirā rabb-e-karīm
shart ye hai ki use dil se pukārā jaa.e
phir se mumkin ho to rishton ko sanwara jae
'ishq ko dil se kabhi yun na utara jae
saKHtiyon se ye baghawat pe utar aate hain
narm lahje se hi bachchon ko sudhaara jae
'ishq ka khel agar khel rahe ho dil se
jit jaane ke liye phir ise haara jae
jis se hasil karen 'ibrat ye zamane wale
is tarah ka bhi koi waqt guzara jae
husn-o-kirdar ki KHushbu se mo'attar ho kar
mulk aur qaum ko mil-jul ke sanwara jae
'yasmin' sab ki hi sunta hai mera rabb-e-karim
shart ye hai ki use dil se pukara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.