phir shabab-o-sher ka charcha hua
phir shabāb-o-sher kā charchā huā
ek jashn-e-zindagī barpā huā
kārobār-e-zindagī phailā huā
umr kam aur vaqt hai uḌtā huā
ashk-hā-e-ġham kī tuġhyānī na pūchh
jaise dariyā josh par aaya huā
ātish-e-ġham se phaTā jaatā hai dil
par nazar aatā nahīñ jaltā huā
jaan kar bhī merī aamad kā sabab
pūchhte ho kis liye aanā huā
sar-ba-sajda haiñ ḳhudā ke sāmne
zulf-e-jānāñ meñ hai dil aTkā huā
dil meñ hangāme tamannāoñ ke haiñ
ġham haTā un kā ki sannāTā huā
ġhāliban ummīd-afzā hai javāb
hai lifāfa itr se mahkā huā
un ko manzil par pahuñchne kā yaqīñ
rāhbar jin kā hai ḳhud bhaTkā huā
tang-zarfoñ ko labālab jām-e-mai
rind ik ik buuñd ko tarsā huā
kar gayā ye kaun ḳhud ko sar-buland
kis kā sar hai daar par laTkā huā
jis jagah bhī aap ne rakkhā qadam
ik nayā fitna vahāñ paidā huā
zālimān-e-vaqt ne dekhā nahīñ
ḳhashmagīñ āñkhoñ meñ ḳhuun aaya huā
ho rahā hai nok-e-ḳhanjar se raqam
har fasāna ḳhuun meñ Duubā huā
dekh vo hai mard-e-maidān-e-hayāt
jī rahā hai maut se laḌtā huā
phir shabab-o-sher ka charcha hua
ek jashn-e-zindagi barpa hua
karobar-e-zindagi phaila hua
umr kam aur waqt hai uDta hua
ashk-ha-e-gham ki tughyani na puchh
jaise dariya josh par aaya hua
aatish-e-gham se phaTa jata hai dil
par nazar aata nahin jalta hua
jaan kar bhi meri aamad ka sabab
puchhte ho kis liye aana hua
sar-ba-sajda hain KHuda ke samne
zulf-e-jaanan mein hai dil aTka hua
dil mein hangame tamannaon ke hain
gham haTa un ka ki sannaTa hua
ghaaliban ummid-afza hai jawab
hai lifafa itr se mahka hua
un ko manzil par pahunchne ka yaqin
rahbar jin ka hai KHud bhaTka hua
tang-zarfon ko labaalab jam-e-mai
rind ek ek bund ko tarsa hua
kar gaya ye kaun KHud ko sar-buland
kis ka sar hai dar par laTka hua
jis jagah bhi aap ne rakkha qadam
ek naya fitna wahan paida hua
zaliman-e-waqt ne dekha nahin
KHashmagin aankhon mein KHun aaya hua
ho raha hai nok-e-KHanjar se raqam
har fasana KHun mein Duba hua
dekh wo hai mard-e-maidan-e-hayat
ji raha hai maut se laDta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.