phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko
phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
phir shaitānoñ kī fitrat ne majbūr kiyā insānoñ ko
phir insānoñ kī bastī se mahrūm kareñ shaitānoñ ko
kāshānoñ meñ rahne vaale ābād kareñ vīrānoñ ko
ye dīvāne haiñ dīvāne kyā kahte haiñ dīvānoñ ko
ilhād kī zulmat duur huī īmān kī sham'oñ se kah do
tajdīd-e-mohabbat bhī hogī āvāz to do parvānoñ ko
barbād tamannā.eñ luT-piT kar dil meñ aane vaalī haiñ
muhtāt raheñ dil vaale bhī taklīf na ho mehmānoñ ko
kaliyoñ pe javānī kā aanā āġhāz-e-qayāmat hotā hai
tauhīn-e-junūñ is mausam meñ manzūr nahīñ dīvānoñ ko
tā’rīf nahīñ fitrat is ko īmān kī quvvat kahtī hai
ik mard-e-mujāhid kā nā'ra taḌpā to gayā sultānoñ ko
dariyā meñ hamārī kashtī ko tūfān kā ḳhatra nā-mumkin
dar-asl bachāne vaale haiñ tūfānoñ se tūfānoñ ko
phir arsh-e-mu’allā se 'zaidī' talvār 'atā kī qudrat ne
duniyā maidān hamārā hai ye kaun kahe nā-dānoñ ko
phir shaitanon ki fitrat ne majbur kiya insanon ko
phir insanon ki basti se mahrum karen shaitanon ko
kashanon mein rahne wale aabaad karen viranon ko
ye diwane hain diwane kya kahte hain diwanon ko
ilhad ki zulmat dur hui iman ki sham'on se kah do
tajdid-e-mohabbat bhi hogi aawaz to do parwanon ko
barbaad tamannaen luT-piT kar dil mein aane wali hain
muhtat rahen dil wale bhi taklif na ho mehmanon ko
kaliyon pe jawani ka aana aaghaz-e-qayamat hota hai
tauhin-e-junun is mausam mein manzur nahin diwanon ko
ta’rif nahin fitrat is ko iman ki quwwat kahti hai
ek mard-e-mujahid ka na'ra taDpa to gaya sultanon ko
dariya mein hamari kashti ko tufan ka KHatra na-mumkin
dar-asl bachane wale hain tufanon se tufanon ko
phir arsh-e-mu’alla se 'zaidi' talwar 'ata ki qudrat ne
duniya maidan hamara hai ye kaun kahe na-danon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.