phir tabiat meri ghabrai kise aawaz dun
phir tabī'at merī ghabrā.ī kise āvāz duuñ
kāTne dauḌe hai tanhā.ī kise āvāz duuñ
dil hai pahle se hī saudā.ī kise āvāz duuñ
zindagī le kar kahāñ aa.ī kise āvāz duuñ
din ke Dhalte Dhalte jo hamdard the ruḳhsat hue
shab ne chādar ġham kī phailā.ī kise āvāz duuñ
koī suntā hī nahīñ duniyā meñ bekas kī sadā
har taraf hangāma-ārā.ī kise āvāz duuñ
kaun degā ab sahārā sūjhtā kuchh bhī nahīñ
bujh ga.ī āñkhoñ kī bīnā.ī kise āvāz duuñ
jo milā hai zindagī meñ zaḳhm hī de kar gayā
aisī hālat meñ 'samar' bhaa.ī kise āvāz duuñ
phir tabi'at meri ghabrai kise aawaz dun
kaTne dauDe hai tanhai kise aawaz dun
dil hai pahle se hi saudai kise aawaz dun
zindagi le kar kahan aai kise aawaz dun
din ke Dhalte Dhalte jo hamdard the ruKHsat hue
shab ne chadar gham ki phailai kise aawaz dun
koi sunta hi nahin duniya mein bekas ki sada
har taraf hangama-arai kise aawaz dun
kaun dega ab sahaara sujhta kuchh bhi nahin
bujh gai aankhon ki binai kise aawaz dun
jo mila hai zindagi mein zaKHm hi de kar gaya
aisi haalat mein 'samar' bhai kise aawaz dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.