phir tez hawa chalte hi be-kal huin shaKHen
phir tez hawa chalte hi be-kal huin shaKHen
Rafiq Khawar Jaskani
MORE BYRafiq Khawar Jaskani
phir tez havā chalte hī be-kal huiiñ shāḳheñ
kis dard ke ehsās se bojhal huiiñ shāḳheñ
kyā soch ke raqsāñ haiñ sar-e-shām khule sar
kis kāhish-e-be-nām se pāgal huiiñ shāḳheñ
girte hue pattoñ kī taḌaptī huī lāsheñ
sad-tantana-e-zīst kā maqtal huiiñ shāḳheñ
tarsī huī bāheñ haiñ humakte hue āġhosh
dīvāngī-e-shauq kā symbol huiiñ shāḳheñ
phir raat ke ashkoñ se fazā bhiig chalī hai
phir os kī barsāt se shītal huiiñ shāḳheñ
jhoñke haiñ ki shahnā.ī ke sur jaag rahe haiñ
ik naġhma-gar-e-nāz kī paa.el huiiñ shāḳheñ
bargad kā tanā ek sadī umr-e-ravāñ kī
saa.e haiñ mah-o-sāl to pal pal huiiñ shāḳheñ
har Daal pe ik TūTtī añgḌā.ī kā aalam
shab-bhar jo havā tez rahī shal huiiñ shāḳheñ
jaatā huā mahtāb jo dam-bhar ko rukā hai
ik mahvash-e-tannāz kā āñchal huiiñ shāḳheñ
jab Duub gayā ġham ke ufuq meñ dil-e-tanhā
mahtāb se duur aañkh se ojhal huiiñ shāḳheñ
phir tez hawa chalte hi be-kal huin shaKHen
kis dard ke ehsas se bojhal huin shaKHen
kya soch ke raqsan hain sar-e-sham khule sar
kis kahish-e-be-nam se pagal huin shaKHen
girte hue patton ki taDapti hui lashen
sad-tantana-e-zist ka maqtal huin shaKHen
tarsi hui bahen hain humakte hue aaghosh
diwangi-e-shauq ka symbol huin shaKHen
phir raat ke ashkon se faza bhig chali hai
phir os ki barsat se shital huin shaKHen
jhonke hain ki shahnai ke sur jag rahe hain
ek naghma-gar-e-naz ki pael huin shaKHen
bargad ka tana ek sadi umr-e-rawan ki
sae hain mah-o-sal to pal pal huin shaKHen
har Dal pe ek TuTti angDai ka aalam
shab-bhar jo hawa tez rahi shal huin shaKHen
jata hua mahtab jo dam-bhar ko ruka hai
ek mahwash-e-tannaz ka aanchal huin shaKHen
jab Dub gaya gham ke ufuq mein dil-e-tanha
mahtab se dur aankh se ojhal huin shaKHen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.