phir tere ochhe KHayalat ne dil toD diya
phir tire ochhe ḳhayālāt ne dil toḌ diyā
tanz meñ Duube ḳhitābāt ne dil toḌ diyā
lab-kushā.ī kī zarūrat thī to ḳhāmosh rahe
be-sabab ramz-o-ishārāt ne dil toḌ diyā
maiñ to ab lafz-e-mohabbat se laraz uThtā huuñ
terī is darja ināyāt ne dil toḌ diyā
maiñ samajhtā thā tire dil meñ makīñ huuñ lekin
tere andāz-e-mudārāt ne dil toḌ diyā
terī ġhazloñ meñ na.e daur ke uslūb nahīñ
tere farsūda ḳhayālāt ne dil toḌ diyā
mustaqil kaun tirā saath nibhā.egā yahāñ
ek do pal ke tire saath ne dil toḌ diyā
aap kī zaat se thī mujh ko tasallī kī umiid
aap ke ashkoñ kī barsāt ne dil toḌ diyā
vo mirā dost bhī ho saktā hai jaanī dushman
kyā batā.ūñ mire ḳhadshāt ne dil toḌ diyā
jin se ho jaatī hai īmān se duurī 'ajmal'
aise afkār-o-nazaryāt ne dil toḌ dayā
phir tere ochhe KHayalat ne dil toD diya
tanz mein Dube KHitabaat ne dil toD diya
lab-kushai ki zarurat thi to KHamosh rahe
be-sabab ramz-o-ishaaraat ne dil toD diya
main to ab lafz-e-mohabbat se laraz uThta hun
teri is darja inayat ne dil toD diya
main samajhta tha tere dil mein makin hun lekin
tere andaz-e-mudaraat ne dil toD diya
teri ghazlon mein nae daur ke uslub nahin
tere farsuda KHayalat ne dil toD diya
mustaqil kaun tera sath nibhaega yahan
ek do pal ke tere sath ne dil toD diya
aap ki zat se thi mujh ko tasalli ki umid
aap ke ashkon ki barsat ne dil toD diya
wo mera dost bhi ho sakta hai jaani dushman
kya bataun mere KHadshat ne dil toD diya
jin se ho jati hai iman se duri 'ajmal'
aise afkar-o-nazaryat ne dil toD daya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.