phir tere qaul-o-qasam yaad aae
phir tire qaul-o-qasam yaad aa.e
tirī chāhat ke sitam yaad aa.e
kis qadar choT lagī hai dil par
jab bhī mar mar ke sanam yaad aa.e
yaad jab aayā tirā naam mujhe
kitne be-nām se ġham yaad aa.e
jaane vo kaisā safar thā merā
jis kā ik ek qadam yaad aa.e
phir mirā zehn hai uljhā uljhā
phir tirī zulf ke ḳham yaad aa.e
aur bhī yaad kī lau tez huī
jab bhī chāhā ki vo kam yaad aa.e
kaun 'betāb' pukāre ham ko
kis ko tanhā.ī meñ ham yaad aa.e
phir tere qaul-o-qasam yaad aae
teri chahat ke sitam yaad aae
kis qadar choT lagi hai dil par
jab bhi mar mar ke sanam yaad aae
yaad jab aaya tera nam mujhe
kitne be-nam se gham yaad aae
jaane wo kaisa safar tha mera
jis ka ek ek qadam yaad aae
phir mera zehn hai uljha uljha
phir teri zulf ke KHam yaad aae
aur bhi yaad ki lau tez hui
jab bhi chaha ki wo kam yaad aae
kaun 'betab' pukare hum ko
kis ko tanhai mein hum yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.