phir teri yaadon ki phunkaron ke bich
phir tirī yādoñ kī phunkāroñ ke biich
nīm-jāñ hai raat yalġhāroñ ke biich
ūñghtā rahtā hai aksar māhtāb
raat bhar ham chand be-dāroñ ke biich
gūñjtī rahtī hai mujh meñ dam-ba-dam
chīḳh jo ubhrī na kohsāroñ ke biich
dekhtā āḳhir maiñ us ko kis tarah
raushnī kī tez bauchhāroñ ke biich
kho hī jaatā huuñ tire qisse meñ maiñ
bārhā gumnām kirdāroñ ke biich
ek adnā sā diyā hai āftāb
mere man ke gahre añdhiyāroñ ke biich
qaid se apnī nikalte kyuuñ nahīñ
zaḳhm kab bharte haiñ dīvāroñ ke biich
sānehe chhapne lage haiñ āñkhoñ meñ
nabz tham jaa.e na aḳhbāroñ ke biich
thā mahāvaT aur phir juḌvāñ bahāv
bah gayā maiñ gungune dhāroñ ke biich
phir teri yaadon ki phunkaron ke bich
nim-jaan hai raat yalghaaron ke bich
unghta rahta hai aksar mahtab
raat bhar hum chand be-daron ke bich
gunjti rahti hai mujh mein dam-ba-dam
chiKH jo ubhri na kohsaron ke bich
dekhta aaKHir main us ko kis tarah
raushni ki tez bauchhaaron ke bich
kho hi jata hun tere qisse mein main
barha gumnam kirdaron ke bich
ek adna sa diya hai aaftab
mere man ke gahre andhiyaron ke bich
qaid se apni nikalte kyun nahin
zaKHm kab bharte hain diwaron ke bich
sanehe chhapne lage hain aankhon mein
nabz tham jae na aKHbaron ke bich
tha mahawaT aur phir juDwan bahaw
bah gaya main gungune dhaaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.