phir unhen shauq-e-KHud-numai hai
phir unhen shauq-e-KHud-numai hai
Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami
phir unheñ shauq-e-ḳhud-numā.ī hai
jaane kis kis kī maut aa.ī hai
yahī me.arāj-e-ḳhud-sitā.ī hai
ab unheñ da.avā-e-ḳhudā.ī hai
zulf-e-shab-gūñ kī zulmatoñ meñ huuñ gum
sham.a-e-ruḳh tak kahāñ rasā.ī hai
ḳhār-zāroñ meñ sar paTaktā huuñ
ye kamāl-e-shikasta-pā.ī hai
zulf bikhrī sī rang nikhrā sā
vaah kyā shān-e-dilrubā.ī hai
baat dil kī na lab pe aa.e kahīñ
muñh se niklī to phir parā.ī hai
tum ko sub.h-e-vatan mubārak ho
mujh ko ġhurbat meñ shaam aa.ī hai
mil gayā dard-e-lā-zavāl mujhe
dil ne kuchh aisī choT khaa.ī hai
jām-e-jam ko hai is se kyā nisbat
ye mirā kāsa-e-gadā.ī hai
marhabā aaj tum ne ai 'jauhar'
kyā murassā ġhazal sunā.ī hai
phir unhen shauq-e-KHud-numai hai
jaane kis kis ki maut aai hai
yahi mearaj-e-KHud-sitai hai
ab unhen dawa-e-KHudai hai
zulf-e-shab-gun ki zulmaton mein hun gum
shama-e-ruKH tak kahan rasai hai
KHar-zaron mein sar paTakta hun
ye kamal-e-shikasta-pai hai
zulf bikhri si rang nikhra sa
wah kya shan-e-dilrubai hai
baat dil ki na lab pe aae kahin
munh se nikli to phir parai hai
tum ko subh-e-watan mubarak ho
mujh ko ghurbat mein sham aai hai
mil gaya dard-e-la-zawal mujhe
dil ne kuchh aisi choT khai hai
jam-e-jam ko hai is se kya nisbat
ye mera kasa-e-gadai hai
marhaba aaj tum ne ai 'jauhar'
kya murassa ghazal sunai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.