phir uske aariz-o-ruKH par fida hone ka waqt aaya
phir uske aariz-o-ruKH par fida hone ka waqt aaya
Sufi Zamzam Bijnori
MORE BYSufi Zamzam Bijnori
phir us ke āriz-o-ruḳh par fidā hone kā vaqt aaya
vafā-nā-āshnā se āshnā hone kā vaqt aaya
udhar ḳhanjar-ba-kaf vo haiñ idhar sīna-sipar maiñ huuñ
ye shāyad rasm-e-ulfat ke adā hone kā vaqt aaya
ghaTā dekho barastī jā rahī hai sū-e-mai-ḳhāna
chalo rindo dar-e-mai-ḳhāna vā hone kā vaqt aaya
hamārā bhī yahī aalam thā logo pūchhte kyā ho
ab un kā vaqt hai un ke ḳhafā hone kā vaqt aaya
dam-e-āḳhir hai aur vo aa rahe haiñ pursish-e-ġham ko
dil-e-nāshād ab tere ḳhafā hone kā vaqt aaya
phir us ke aariz-o-ruKH par fida hone ka waqt aaya
wafa-na-ashna se aashna hone ka waqt aaya
udhar KHanjar-ba-kaf wo hain idhar sina-sipar main hun
ye shayad rasm-e-ulfat ke ada hone ka waqt aaya
ghaTa dekho barasti ja rahi hai su-e-mai-KHana
chalo rindo dar-e-mai-KHana wa hone ka waqt aaya
hamara bhi yahi aalam tha logo puchhte kya ho
ab un ka waqt hai un ke KHafa hone ka waqt aaya
dam-e-aKHir hai aur wo aa rahe hain pursish-e-gham ko
dil-e-nashad ab tere KHafa hone ka waqt aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.