phir us nigah ka nashtar meri talash mein hai
phir us nigāh kā nashtar mirī talāsh meñ hai
sukūn-e-dil kā payambar mirī talāsh meñ hai
vo jis ne mujh ko kabhī aa.ine meñ dekhā thā
vo ek shaḳhs barābar mirī talāsh meñ hai
maiñ apnī zaat meñ bhaTkā huā musāfir huuñ
har ek raah kā patthar mirī talāsh meñ hai
ye zindagī kā añdherā ye karb-e-tanhā.ī
salīb-o-dār kā manzar mirī talāsh meñ hai
ba-nām-e-talḳhī-e-daurāñ ba-nām-e-zahr-e-hayāt
sunā hai phir koī sāġhar mirī talāsh meñ hai
sukūt-e-nāz ko andāz-e-guftugū de kar
kisī kī chashm-e-suḳhanvar mirī talāsh meñ hai
milā na chashma-e-haivāñ se jis ko āb-e-hayāt
nasīb kā vo sikandar mirī talāsh meñ hai
mujhe panāh de ai mere ġham kī tanhā.ī
umīd-o-bīm kā lashkar mirī talāsh meñ hai
maiñ 'badr' apne ujāle meñ ḳhud hī Duub gayā
tajallī-e-mah-o-aḳhtar mirī talāsh meñ hai
phir us nigah ka nashtar meri talash mein hai
sukun-e-dil ka payambar meri talash mein hai
wo jis ne mujh ko kabhi aaine mein dekha tha
wo ek shaKHs barabar meri talash mein hai
main apni zat mein bhaTka hua musafir hun
har ek rah ka patthar meri talash mein hai
ye zindagi ka andhera ye karb-e-tanhai
salib-o-dar ka manzar meri talash mein hai
ba-nam-e-talKHi-e-dauran ba-nam-e-zahr-e-hayat
suna hai phir koi saghar meri talash mein hai
sukut-e-naz ko andaz-e-guftugu de kar
kisi ki chashm-e-suKHanwar meri talash mein hai
mila na chashma-e-haiwan se jis ko aab-e-hayat
nasib ka wo sikandar meri talash mein hai
mujhe panah de ai mere gham ki tanhai
umid-o-bim ka lashkar meri talash mein hai
main 'badr' apne ujale mein KHud hi Dub gaya
tajalli-e-mah-o-aKHtar meri talash mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.