phir usi samt hai safar mera
phir usī samt hai safar merā
raah roke khaḌā hai Dar merā
kaise kaise makīn the us ke
itnā vīrāñ kahāñ thā ghar merā
rā.egāñ ho ga.ī mirī mehnat
aur ye be-samar shajar merā
rāsta hai ki phailtā jaa.e
ḳhatm hotā nahīñ safar merā
phir huā yuuñ ki par hī TuuT ga.e
bas kahāñ thā uḌaan par merā
phir usi samt hai safar mera
rah roke khaDa hai Dar mera
kaise kaise makin the us ke
itna viran kahan tha ghar mera
raegan ho gai meri mehnat
aur ye be-samar shajar mera
rasta hai ki phailta jae
KHatm hota nahin safar mera
phir hua yun ki par hi TuT gae
bas kahan tha uDan par mera
- Book : سکوت دشت (Pg. 66)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.