phir wahi baat ho gai hogi
phir vahī baat ho ga.ī hogī
shaah ko maat ho ga.ī hogī
mil ga.e hoñge donoñ vaqt gile
aur phir raat ho ga.ī hogī
chhā ga.e hoñge yaad ke bādal
khul ke barsāt ho ga.ī hogī
tīrgī ne chhuḌā liyā dāman
chāñdnī-rāt ho ga.ī hogī
ḳhushbueñ aa.ī haiñ lifāfe meñ
nafī isbāt ho ga.ī hogī
jaal kyuuñ bun rahī hai ḳhāmoshī
phir mulāqāt ho ga.ī hogī
phir wahi baat ho gai hogi
shah ko mat ho gai hogi
mil gae honge donon waqt gile
aur phir raat ho gai hogi
chha gae honge yaad ke baadal
khul ke barsat ho gai hogi
tirgi ne chhuDa liya daman
chandni-raat ho gai hogi
KHushbuen aai hain lifafe mein
nafi isbaat ho gai hogi
jal kyun bun rahi hai KHamoshi
phir mulaqat ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.