phir wahi karb-e-guzarish wahi mansha apna
phir vahī karb-e-guzārish vahī manshā apnā
koī iz.hār kī sūrat na taqāzā apnā
chehra-dar-chehra liye apne kiye ke tevar
jaane kis soch meñ gum-sum thā masīhā apnā
āñkhoñ āñkhoñ ke ye ziine ye ta.alluq kī bisāt
dil hī ilhām hai aur dil hī sahīfa apnā
is mafājāt-o-mukāfāt ke māmūre meñ
farz yā arz-e-munājāt hai hissa apnā
aks-dar-aks kī ik tarfa kashākash kā asiir
masḳh thā ā.ina-ḳhāne meñ sarāpā apnā
be-tanābī bhī bagūle bhī kashākash bhī vahī
kyā huā dasht-e-tamannā meñ bhī ḳhema apnā
ḳhidmat-e-ḳhalq kā aise meñ tasavvur bhī kyā
log sab kuchh haiñ sañbhāle hue apnā apnā
be-tukī baat hai uḌ jā.egī be-par 'rāhī'
tum ne likkhā hai havāoñ pe fasāna apnā
phir wahi karb-e-guzarish wahi mansha apna
koi izhaar ki surat na taqaza apna
chehra-dar-chehra liye apne kiye ke tewar
jaane kis soch mein gum-sum tha masiha apna
aankhon aankhon ke ye zine ye talluq ki bisat
dil hi ilham hai aur dil hi sahifa apna
is mafajat-o-mukafat ke mamure mein
farz ya arz-e-munajat hai hissa apna
aks-dar-aks ki ek tarfa kashakash ka asir
masKH tha aaina-KHane mein sarapa apna
be-tanabi bhi bagule bhi kashakash bhi wahi
kya hua dasht-e-tamanna mein bhi KHema apna
KHidmat-e-KHalq ka aise mein tasawwur bhi kya
log sab kuchh hain sanbhaale hue apna apna
be-tuki baat hai uD jaegi be-par 'rahi'
tum ne likkha hai hawaon pe fasana apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.