phir wahi KHana-e-barbaad hamare liye hai
phir vahī ḳhāna-e-barbād hamāre liye hai
shahr-e-ġharnāta-o-baġhdād hamāre liye hai
jhelnā hai hameñ phir karb farāmoshī kā
phir vahī silsila-e-yād hamāre liye hai
niiñd ke shahr-e-tilismāt mubārak hoñ tumheñ
jāgte rahne kī uftād hamāre liye hai
ġham haiñ āshob-e-ḳhudī meñ hameñ varna ik shahr
ḳhuuñ se tar shor se ābād hamāre liye hai
dhūñDiye aks-e-'qamar' raat ke ā.īne meñ
aaj kī shab yahī irshād hamāre liye hai
phir wahi KHana-e-barbaad hamare liye hai
shahr-e-gharnata-o-baghdad hamare liye hai
jhelna hai hamein phir karb faramoshi ka
phir wahi silsila-e-yaad hamare liye hai
nind ke shahr-e-tilismat mubarak hon tumhein
jagte rahne ki uftad hamare liye hai
gham hain aashob-e-KHudi mein hamein warna ek shahr
KHun se tar shor se aabaad hamare liye hai
dhunDiye aks-e-'qamar' raat ke aaine mein
aaj ki shab yahi irshad hamare liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.