phir wahi tasawwur hai phir wahi nazare hain
phir vahī tasavvur hai phir vahī nazāre haiñ
phir vahī tabassum hai phir vahī sahāre haiñ
koī kab milā ham se ye hameñ nahīñ ma.alūm
yuuñ bhī hosh meñ rah kar ham ne din guzāre haiñ
un se duur rah kar bhī ye yaqīñ nahīñ hotā
un se duur rah kar bhī ham ne din guzāre haiñ
aa.ina khurach kar tum ġhaur se zarā dekho
kitne log bhūke haiñ kitne be-sahāre haiñ
aap bhī 'ziyā' bhaa.ī kab kī baat karte haiñ
aaj kyā vo ham tum haiñ jo vafā ke maare haiñ
phir wahi tasawwur hai phir wahi nazare hain
phir wahi tabassum hai phir wahi sahaare hain
koi kab mila hum se ye hamein nahin malum
yun bhi hosh mein rah kar hum ne din guzare hain
un se dur rah kar bhi ye yaqin nahin hota
un se dur rah kar bhi hum ne din guzare hain
aaina khurach kar tum ghaur se zara dekho
kitne log bhuke hain kitne be-sahaare hain
aap bhi 'ziya' bhai kab ki baat karte hain
aaj kya wo hum tum hain jo wafa ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.