phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujhko
phir ye mumkin hī nahīñ hai ki sambhālo mujh ko
ik zarā qaid se bāhar to nikālo mujh ko
is haqīqat kī bhī aamad ho mire hujre meñ
chhoḌ ke jaao kabhī ḳhvābo ḳhayālo mujh ko
jism ko dard meñ hañsne kā hunar aatā hai
iltijā ye hai ki patthar meñ na Dhālo mujh ko
maiñ ne pābandī lagā dī hai zabāñ par varna
mudda.ā chīḳh rahā hai ki uchhālo mujh ko
tab talak kūza-garo ḳhvāb hai ta.abīr mirī
jab talak puurī tarah toḌ na Daalo mujh ko
māvarā huuñ maiñ har ik lafz-e-suḳhan se jo mujhe
tum ko paḌhnā hai to phir soch meñ Dhālo mujh ko
lo maiñ kartā huuñ mirī ḳhaak tumhāre hī sipurd
jaisī darkār ho vaisā hī banā lo mujh ko
pahle malbe ko mire saaf karo uupar se
phir mirī ḳhaak ke nīche se nikālo mujh ko
āñkheñ neze pe Tike dekh ke apnī 'nāyāb'
bol uThe ḳhvāb bhī ab to ki na paalo mujh ko
phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujh ko
ek zara qaid se bahar to nikalo mujh ko
is haqiqat ki bhi aamad ho mere hujre mein
chhoD ke jao kabhi KHwabo KHayalo mujh ko
jism ko dard mein hansne ka hunar aata hai
iltija ye hai ki patthar mein na Dhaalo mujh ko
main ne pabandi laga di hai zaban par warna
muddaa chiKH raha hai ki uchhaalo mujh ko
tab talak kuza-garo KHwab hai tabir meri
jab talak puri tarah toD na Dalo mujh ko
mawara hun main har ek lafz-e-suKHan se jo mujhe
tum ko paDhna hai to phir soch mein Dhaalo mujh ko
lo main karta hun meri KHak tumhaare hi sipurd
jaisi darkar ho waisa hi bana lo mujh ko
pahle malbe ko mere saf karo upar se
phir meri KHak ke niche se nikalo mujh ko
aankhen neze pe Tike dekh ke apni 'nayab'
bol uThe KHwab bhi ab to ki na palo mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.