phirte hain jis ke waste hum dar-ba-dar abhi
phirte haiñ jis ke vāste ham dar-ba-dar abhī
kyā kījiye nahīñ hai use kuchh ḳhabar abhī
kah deñ jo kuchh ki dil meñ hai apne agar abhī
sharmā ke dhar na deñge vo kāñdhe pe sar abhī
thāme hue haiñ hāthoñ se apnā jigar sabhī
sunte haiñ aa.egā vo hasīñ baam par abhī
chheḌā hai us kī zulf ko bād-e-sabā ne kuchh
aa.egī rafta-rafta vo sū-e-kamar abhī
yāroñ ko un ke mil bhī ga.ī manzil-e-murād
'akbar' ki bāñdh paa.e na raḳht-e-safar abhī
phirte hain jis ke waste hum dar-ba-dar abhi
kya kijiye nahin hai use kuchh KHabar abhi
kah den jo kuchh ki dil mein hai apne agar abhi
sharma ke dhar na denge wo kandhe pe sar abhi
thame hue hain hathon se apna jigar sabhi
sunte hain aaega wo hasin baam par abhi
chheDa hai us ki zulf ko baad-e-saba ne kuchh
aaegi rafta-rafta wo su-e-kamar abhi
yaron ko un ke mil bhi gai manzil-e-murad
'akbar' ki bandh pae na raKHt-e-safar abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.