phirte rahe azal se abad tak udas hum
phirte rahe azal se abad tak udaas ham
aa.e na inqilāb-e-zamāna ko raas ham
dekheñge chhū ke surḳh badan āftāb kā
tabdīl kar chuke haiñ ḳhalā kā libās ham
ye zindagī to ḳhūn-e-jigar pī ga.ī tamām
kaise bujhā.eñ sūkhe samundar kī pyaas ham
shahr-e-junūñ kī dhuup jalā degī jism-o-jāñ
chaliye chaleñ ghanere chanāroñ ke paas ham
pur-nūr hai hamīñ se ḳharāba hayāt kā
rātoñ kā rañg tum ho ujāloñ kī aas ham
amrit sharāb zahr ajī kuchh to Dāliye
aa.e haiñ le ke duur se ḳhālī gilass ham
jab se bichhaḌ ga.ī tirī ḳhāna-ba-dosh yaad
ai 'prem' suune ghar kī tarah haiñ udaas ham
phirte rahe azal se abad tak udas hum
aae na inqilab-e-zamana ko ras hum
dekhenge chhu ke surKH badan aaftab ka
tabdil kar chuke hain KHala ka libas hum
ye zindagi to KHun-e-jigar pi gai tamam
kaise bujhaen sukhe samundar ki pyas hum
shahr-e-junun ki dhup jala degi jism-o-jaan
chaliye chalen ghanere chanaron ke pas hum
pur-nur hai hamin se KHaraba hayat ka
raaton ka rang tum ho ujalon ki aas hum
amrit sharab zahr aji kuchh to Daliye
aae hain le ke dur se KHali gilass hum
jab se bichhaD gai teri KHana-ba-dosh yaad
ai 'prem' sune ghar ki tarah hain udas hum
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 100)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.