phisalne wala tha KHud ko magar sanbhaal gaya
phisalne vaalā thā ḳhud ko magar sañbhāl gayā
ajiib shaḳhs thā vo baat hañs ke Taal gayā
badalne vaalī hai rut sā.ebān se niklo
jo sho.ala-bār thā vo abr barshgāl gayā
tum apne aap ko pahchān bhī na pāoge
vo raushnī meñ añdherā agar uchhāl gayā
naqāb apnī burā.ī pe Dālnī thī use
vo lā ke ḳhaak mirī nekiyoñ pe Daal gayā
qusūr-vār maiñ Thahrā.ūñ aa.ine ko kyuuñ
jo boltā thā tirā ab vo ḳhadd-o-ḳhāl gayā
mizāj apnā 'mubārak' badal diyā maiñ ne
ḳhayāl us kā ga.e vaqt kī misāl gayā
phisalne wala tha KHud ko magar sanbhaal gaya
ajib shaKHs tha wo baat hans ke Tal gaya
badalne wali hai rut saeban se niklo
jo shoala-bar tha wo abr barshgal gaya
tum apne aap ko pahchan bhi na paoge
wo raushni mein andhera agar uchhaal gaya
naqab apni burai pe Dalni thi use
wo la ke KHak meri nekiyon pe Dal gaya
qusur-war main Thahraun aaine ko kyun
jo bolta tha tera ab wo KHadd-o-KHal gaya
mizaj apna 'mubarak' badal diya main ne
KHayal us ka gae waqt ki misal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.