phul ashkon ke in aankhon se piro bhi na sake
phuul ashkoñ ke in āñkhoñ se piro bhī na sake
tujh se bichhḌe to tire sāmne ro bhī na sake
tū judā ho ke bhī pal-bhar ko nahīñ ham se judā
tujh ko pā bhī na sake ham tujhe kho bhī na sake
saath chhūTā to zabānoñ kā bharam bhī TuuTā
kitne nashtar the ki jo log chubho bhī na sake
dushman-e-jāñ sahī ye soch ke insān to hai
haq meñ dushman ke bhī kāñTe kabhī ham bo na sake
'ishq meñ hogā sukūñ 'bazm' kisī ko hāsil
ham to dam-bhar kabhī ārām se so bhī na sake
phul ashkon ke in aankhon se piro bhi na sake
tujh se bichhDe to tere samne ro bhi na sake
tu juda ho ke bhi pal-bhar ko nahin hum se juda
tujh ko pa bhi na sake hum tujhe kho bhi na sake
sath chhuTa to zabanon ka bharam bhi TuTa
kitne nashtar the ki jo log chubho bhi na sake
dushman-e-jaan sahi ye soch ke insan to hai
haq mein dushman ke bhi kanTe kabhi hum bo na sake
'ishq mein hoga sukun 'bazm' kisi ko hasil
hum to dam-bhar kabhi aaram se so bhi na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.