phul barsae koi ya koi patthar phenke
phuul barsā.e koī yā koī patthar pheñke
shart itnī hai ki rusvā.ī se bach kar pheñke
maiñ ne to sirf ujāle kī kiran māñgī thī
tum ne kyoñ zahr meñ Duube hue ḳhanjar pheñke
ghar kī vīrānī se ghabrā ke nikal aa.e haiñ
raushnī koī darīche hī se andar pheñke
ho ga.ī ḳhud hī zamīñ-bos anā kī dīvār
tum ne kuchh phuul zamīñ se jo uThā kar pheñke
is tarah mujh ko 'atā kī ga.ī sahbā-e-hayāt
jis tarah ret pe kuchh jhaag samundar pheñke
apne ehsās kī chaTTān se zaḳhmī ho kar
ham ne bhī aaj 'sabā' tanz ke nashtar pheñke
phul barsae koi ya koi patthar phenke
shart itni hai ki ruswai se bach kar phenke
main ne to sirf ujale ki kiran mangi thi
tum ne kyon zahr mein Dube hue KHanjar phenke
ghar ki virani se ghabra ke nikal aae hain
raushni koi dariche hi se andar phenke
ho gai KHud hi zamin-bos ana ki diwar
tum ne kuchh phul zamin se jo uTha kar phenke
is tarah mujh ko 'ata ki gai sahba-e-hayat
jis tarah ret pe kuchh jhag samundar phenke
apne ehsas ki chaTTan se zaKHmi ho kar
hum ne bhi aaj 'saba' tanz ke nashtar phenke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.