phul chunte hain chaman mein log nok-e-Khaar se
phuul chunte haiñ chaman meñ log nok-e-ḳhār se
zaḳhm dete haiñ baḌe kaarī zabāñ kī dhaar se
ek hī pal meñ badal jaate haiñ jab saare rafīq
kis liye shikva kiyā jaa.e nigāh-e-yār se
raat is andāz se dekhā hai tum ko ḳhvāb meñ
niiñd meñ ġhāfil bhī the ham aur kuchh bedār se
aap is sar ko jhukāne ke liye haiñ kyoñ ba-zid
is se behtar hai alag kar deñ ise talvār se
phul chunte hain chaman mein log nok-e-KHar se
zaKHm dete hain baDe kari zaban ki dhaar se
ek hi pal mein badal jate hain jab sare rafiq
kis liye shikwa kiya jae nigah-e-yar se
raat is andaz se dekha hai tum ko KHwab mein
nind mein ghafil bhi the hum aur kuchh bedar se
aap is sar ko jhukane ke liye hain kyon ba-zid
is se behtar hai alag kar den ise talwar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.