phul hanse kyon roi shabnam
phuul hañse kyoñ roī shabnam
raaz kī bāteñ mub.ham mub.ham
donoñ āsāñ donoñ mushkil
be-rabtī aur rabt-e-bāham
dariyā kī ijmālī sūrat
qatra qatra motī shabnam
jis din bhī vo barham hogā
us din duniyā darham-barham
'āsī' hoñ yā qaazī sāhab
donoñ bhī haiñ ibn-e-ādam
phul hanse kyon roi shabnam
raaz ki baaten mubham mubham
donon aasan donon mushkil
be-rabti aur rabt-e-baham
dariya ki ijmali surat
qatra qatra moti shabnam
jis din bhi wo barham hoga
us din duniya darham-barham
'asi' hon ya qazi sahab
donon bhi hain ibn-e-adam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.