phul hi phul hain daman-e-shakebai mein
phuul hī phuul haiñ dāmān-e-shakebā.ī meñ
aap jaa.eñ to zarā baat kī gahrā.ī meñ
kisī sannāTe kā imkān-e-ta'āqub bhī nahīñ
sāz-e-dil chheḌ diyā kartā huuñ tanhā.ī meñ
hairat-e-jalva-garī tujh ko patā ho shāyad
kis ne ā.īne jaḌe chashm-e-tamāshā.ī meñ
jalvatoñ ne to kabhī fursat-e-tāmīr na dī
zindagī zindagī ban jā.egī tanhā.ī meñ
aap kī yaad ke andāz-e-rifāqat kī qasam
maiñ akelā na rahā 'ālam-e-tanhā.ī meñ
maut ko dāḳhil-e-andāz-e-shifā-yābī kar
ik izāfa sahī e’jāz-e-masīhā.ī meñ
merā afsāna-e-ġham shauq se suniye lekin
talḳhiyāñ bhī to huā kartī haiñ sachchā.ī meñ
is ravish kā bhī maiñ shākī to nahīñ huuñ lekin
aap kuchh aur the āġhāz-e-shanāsā.ī meñ
kuchh 'ajab moḌ mirī ziist meñ aayā hai 'urūj'
maiñ na mahfil meñ sukūñ-yāb na tanhā.ī meñ
phul hi phul hain daman-e-shakebai mein
aap jaen to zara baat ki gahrai mein
kisi sannaTe ka imkan-e-ta'aqub bhi nahin
saz-e-dil chheD diya karta hun tanhai mein
hairat-e-jalwa-gari tujh ko pata ho shayad
kis ne aaine jaDe chashm-e-tamashai mein
jalwaton ne to kabhi fursat-e-tamir na di
zindagi zindagi ban jaegi tanhai mein
aap ki yaad ke andaz-e-rifaqat ki qasam
main akela na raha 'alam-e-tanhai mein
maut ko daKHil-e-andaz-e-shifa-yabi kar
ek izafa sahi e’jaz-e-masihai mein
mera afsana-e-gham shauq se suniye lekin
talKHiyan bhi to hua karti hain sachchai mein
is rawish ka bhi main shaki to nahin hun lekin
aap kuchh aur the aaghaz-e-shanasai mein
kuchh 'ajab moD meri zist mein aaya hai 'uruj'
main na mahfil mein sukun-yab na tanhai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.