phul honTon ko ghazal-KHwan dekhna
phuul hoñToñ ko ġhazal-ḳhvāñ dekhnā
mujh ko bahkāne ke sāmāñ dekhnā
dekhnā dil ke dar o dīvār par
chāñd chehroñ kā charāġhāñ dekhnā
ġhul-laboñ se kī hai maiñ ne guftugū
mere hoñToñ par gulistāñ dekhnā
zulf lahrā ke mire dil meñ zarā
ḳhvāhishoñ kā ek tūfāñ dekhnā
us ko pā lenā to phir merī tarah
ḳhud ko ḳhud apnā hī ḳhvāhāñ dekhnā
jalte rahnā us ke ġham kī aañch par
dard ban jā.egā darmāñ dekhnā
tujh ko jab chāhā to 'bismil' ban gayā
kitnā daanā hai ye nādāñ dekhnā
phul honTon ko ghazal-KHwan dekhna
mujh ko bahkane ke saman dekhna
dekhna dil ke dar o diwar par
chand chehron ka charaghan dekhna
ghul-labon se ki hai main ne guftugu
mere honTon par gulistan dekhna
zulf lahra ke mere dil mein zara
KHwahishon ka ek tufan dekhna
us ko pa lena to phir meri tarah
KHud ko KHud apna hi KHwahan dekhna
jalte rahna us ke gham ki aanch par
dard ban jaega darman dekhna
tujh ko jab chaha to 'bismil' ban gaya
kitna dana hai ye nadan dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.