phul ke waste dua kije
phuul ke vāste du'ā kiije
ye nasha hai zarā nasha kiije
ek talqīn hai mohabbat kī
jo na maane use daf'a kiije
khaaT Daalī hai peḌ ke nīche
aate jaate zarā milā kiije
nahīñ kursī-nashīn kī dā'vat
sahn meñ chāñdnī zarā kiije
aap aa.e ho us kī duniyā meñ
is kā kaffāra bhī adā kiije
dhuup par Dāliye koī maḳhmal
chhāñv ke vāste havā kiije
she'r meñ mashq thoḌī hai lāzim
apnī gāḌhī zarā ziyā kiije
maut kī bad-du'ā ke haiñ 'aadī
in du'ā-go.oñ se bachā kiije
vaqt kā kuchh pata nahīñ chaltā
apnī auqāt meñ rahā kiije
itne logoñ meñ baat kyā karnī
biich bāzār kyā sadā kiije
muskurāne kā koī vaqt nahīñ
kaam karte bhī kuchh hañsā kiije
mashvaroñ kā hai ik tarah kā shor
is tarah kiije us tarah kiije
phul ke waste du'a kije
ye nasha hai zara nasha kije
ek talqin hai mohabbat ki
jo na mane use daf'a kije
khaT Dali hai peD ke niche
aate jate zara mila kije
nahin kursi-nashin ki da'wat
sahn mein chandni zara kije
aap aae ho us ki duniya mein
is ka kaffara bhi ada kije
dhup par Daliye koi maKHmal
chhanw ke waste hawa kije
she'r mein mashq thoDi hai lazim
apni gaDhi zara ziya kije
maut ki bad-du'a ke hain 'adi
in du'a-goon se bacha kije
waqt ka kuchh pata nahin chalta
apni auqat mein raha kije
itne logon mein baat kya karni
bich bazar kya sada kije
muskurane ka koi waqt nahin
kaam karte bhi kuchh hansa kije
mashwaron ka hai ek tarah ka shor
is tarah kije us tarah kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.