phul khilte hain to kanTon ko hansi aati hai
phul khilte hain to kanTon ko hansi aati hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
phuul khilte haiñ to kāñToñ ko hañsī aatī hai
aise khilne pe ḳhizāoñ ko hañsī aatī hai
chāñd ko dekh ke tāroñ ko hañsī aatī hai
ḳhud ujāloñ pe ujāloñ ko hañsī aatī hai
haif-sad-haif ki aayā hai zamāna kaisā
ab buzurgoñ pe javānoñ ko hañsī aatī hai
duur rahte haiñ to rahte haiñ ḳhafā ham donoñ
aañkh miltī hai to donoñ ko hañsī aatī hai
pahle hañste the to ḳhushiyoñ pe hañsā karte the
ab to mātam pe bhī logoñ ko hañsī aatī hai
zindagī aisī haqīqat hai ki jis par 'sāqī'
thoḌe rote haiñ to thoḌoñ ko hañsī aatī hai
phul khilte hain to kanTon ko hansi aati hai
aise khilne pe KHizaon ko hansi aati hai
chand ko dekh ke taron ko hansi aati hai
KHud ujalon pe ujalon ko hansi aati hai
haif-sad-haif ki aaya hai zamana kaisa
ab buzurgon pe jawanon ko hansi aati hai
dur rahte hain to rahte hain KHafa hum donon
aankh milti hai to donon ko hansi aati hai
pahle hanste the to KHushiyon pe hansa karte the
ab to matam pe bhi logon ko hansi aati hai
zindagi aisi haqiqat hai ki jis par 'saqi'
thoDe rote hain to thoDon ko hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.